saya-e-diwar

kaisa sunsan hai dasht-e-awargi
har taraf dhup hai har taraf tishnagi

kaisi be-jaan hai mai-kade ki faza
jism ki sansani ruh ki khastagi

is do-rahe pe khoe gae hausle
is andhere mein gum ho gai zindagi

ai gham-e-arzu main bahut thak gaya
mujh ko de de wahi meri apni gali

chhota-mota magar khub-surat sa ghar
ghar ke aangan mein khushbu si phaili hui

munh dhulati sawere ki pahli kiran
saeban par amar-bel mahki hui

khidkiyon par hawaon ki atkheliyan
rauzan-e-dar se chhanti hui raushni

sham ko halka halka uthta dhuan
pas chulhe ke baithi hui lakshmi

ek angithi mein koele dahakte hue
bartanon ki suhani madhur ragni

ras-bhare git masum se qahqahe
raat ko chhat pe chhitki hui chandni

subh ko apne school jate hue
mere nanhe ke chehre pe ek tazgi

rishte-nate mulaqaten mehmaniyan
dawaten jashn tyauhaar shadi ghami

ji mein hai apni aazadiyan bech kar
aaj le lun ye pabandiyon ki khushi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close