waqt

wo chalta raha
is kurra-e-arz ki gend par

ek panw rakkhe
dusra panw is ka khala mein…

gend aage badhate hue
tawazun bhi qaem rahe…

qayamat ko tale hue…
wo chalta raha

zist aur maut ke daere khinchta…
ek hi samt mein

ek raftar se
kisi bazigar

ek circus ke nat ki tarah
chand suraj sitaron ke gole

kabhi donon hathon se un ko uchhaale
kabhi apne shanon pe

sar par sambhaale hue
kabhi gunj mein taliyon ki

be-niyazana chalta ho
hath patlun ki

donon jebon mein dale hue…


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close