shama

bazm-e-jahan mein mein bhi hun a sham-e-dardmand
faryaad dar girah-e-sifat dana sipand

di ishq ne hararat-e-soz-e-darun tujhe
aur gul-farosh ashk shafaq-gun kiya mujhe

ho sham-e-bazm-e-aish ki sham-e-mazar-e-tu
har haal ashk-e-gham se rahi ham-kanar tu

yak-bin teri nazar sifat-e-ashiqan-e-raaz
meri nigah maya-e-ashob-e-imtiyaz

kabe mein but-kade mein hai yaksan teri ziya
main imtiyaz-e-dair-o-haram mein phansa hua

hai shan-e-ah ki tere dud-e-siyah mein
poshida koi dil hai teri jalwa-gah mein

jalti hai tu ki barq-e-tajalli se dur hai
be-dard tere soz ko samjhe ki nur hai

tu jal rahi hai aur tujhe kuchh khabar nahin
bina hai aur soz-e-darun par nazar nahin

mein josh iztirab se simab war bhi
aagah-e-iztirab dil-e-be-qarar bhi

tha ye bhi koi naz kisi be-niyaz ka
ehsas de diya mujhe apne gudaz ka

ye aagahi mari mujhe rakhti hai be-qarar
khwabida is sharar mein hain aatish-kade hazar

ye imtiyaz-e-rifat-o-pasti isi se hai
gul mein mahak sharab mein masti isi se hai

bustan-o-bulbul-o-gul-o-bu hai ye aagahi
asl kashakash-o-man-o-tu hai ye aagahi

subh-e-azal jo husn hua dilsitan-e-ishq
aawaz-e-kun hui tapish aamoz-e-jaan-e-ishq

ye hukm tha ki gulshan-e-kun ki bahaar dekh
ek aankh le ke khwab-e-pareshan hazar dekh

mujh se khabar na puchh hijab-e-wajud ki
sham-e-firaq subh thi meri numud ki

wo din gae ki qaid se main aashna na tha
zeb-e-darakht-e-tur mera aashiyana tha

qaidi hun aur qafas ko chaman jaanta hun main
ghurbat ke gham-kade ko watan jaanta hun main

yaad-e-watan fasurdagi be-sabab bani
shauq-e-nazar kabhi kabhi zauq-e-talab bani

a shama intiha-e-fareb-e-khyal dekh
masjud sakinan-e-falak ka maal dekh

mazmun firaq ka hun surayya nishan hun main
aahang-e-taba nazim-e-kaun-o-makan hun main

bandha mujhe jo us ne to chahi meri numud
tahrir kar diya sar-e-diwan-e-hast-o-bud

gauhar ko musht-e-khak main rahna pasand hai
bandish agarche sust hai mazmun buland hai

chashm-e-ghalat nagar ka ye sara qusur hai
aalam zuhur jalwa-e-zauq-e-shuur hai

ye silsila zaman-o-makan ka kamand hai
tauq-e-gulu-e-husn tamasha-pasand hai

manzil ka ishtiyaq hai gham-karda rah hun
a shama mein asir-e-fareb-e-nigah hun

sayyaad aap halqa-e-dam-e-sitam bhi aap
baam-e-haram bhi tair-e-baam-e-haram bhi aap

main husn hun ki ishq sarapa gudaz hun
khulta nahin ki naz hun main ya niyaz hun

han aashna-e-lab ho na raaz-e-kuhan kahin
phir chhid na jae qissa-e-dar-o-rasan kahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close