shama

aaj us dil-ruba ki sal girah hai
lekin main us hasin sham ka intizar nahin kar saka

kal raat hi jashn manane us ke dar par pahunch gaya
mere hathon mein surkh gulab the

aur bahaar ki khush-bu
aankhon mein pyar tha

aur bahut se sawal
honton par khushiyon ke git the

aur thodi si pyas
dil-ruba ke samne ek shama jal rahi thi

khushi ke is mauqe par
thik barah baje

us ne wahi kiya jo sal-girah manane wale karte hain
qatil adaon wali ne

be-niyazi se phunk mar ke
meri mohabbat ki shama gul kar di


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close