payaade

shatranj ki bisat par
baadshah qila-band rahta hai

jang wazir ladta hai
baadshah ki sari ummiden

wazir se wabasta yunhi hain
wazir apne mohron ko tahaffuz deta hai

dusre ke mohron ko shikar karta hai
khel aage badhta hai

qilon mein shigaf pad jata hai
wazir agle mahaz par ladte ladte

kaam aa jata hai
lekin bazi khatm nahin hoti

baadshah qile se nikalta hai
pyaadon par bharosa karta hai

payaade hausla pate hain
rah ki rukawaten hatate hain

aage badhte badhte
kuchh der mein

wazir ban jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close