tariq ki dua

(undulus ke maidan-e-jang mein)
ye ghazi ye tere pur-asrar bande

jinhen tu ne bakhsha hai zauq-e-khudai
do-nim un ki thokar se sahra o dariya

simat kar pahad un ki haibat se rai
do-alam se karti hai begana dil ko

ajab chiz hai lazzat-e-ashnai
shahadat hai matlub-o-maqsud-e-momin

na mal-e-ghanimat na kishwar-kushai
khayaban mein hai muntazir lala kab se

qaba chahiye us ko khun-e-arab se
kiya tu ne sahra-nashinon ko yakta

khabar mein nazar mein azan-e-sahar mein
talab jis ki sadiyon se thi zindagi ko

wo soz us ne paya unhin ke jigar mein
kushad-e-dar-e-dil samajhte hain us ko

halakat nahin maut un ki nazar mein
dil-e-mard-e-momin mein phir zinda kar de

wo bijli ki thi nara-e-la-tazar mein
azaem ko sinon mein bedar kar de

nigah-e-musalman ko talwar kar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close