yaad

aai jab un ki yaad to aati chali gai
har naqsh-e-ma-siwa ko mitati chali gai

har manzar-e-jamal dikhati chali gai
jaise unhin ko samne lati chali gai

har waqia qarib-tar aata chala gaya
har shai hasin-tar nazar aati chali gai

virana-e-hayat ke ek ek goshe mein
jogan koi sitar bajati chali gai

dil phunk raha tha aatish-e-zabt-e-firaq se
dipak ko mai-gusar banati chali gai

be-harf o be-hikayat o be-saz o be-sada
rag rag mein naghma ban ke samati chali gai

jitna hi kuchh sukun sa aata chala gaya
utna hi be-qarar banati chali gai

kaifiyyaton ko hosh sa aata chala gaya
be-kaifiyon ko nind si aati chali gai

kya kya na husn-e-yar se shikwe the ishq ko
kya kya na sharmsar banati chali gai

tafriq-e-husn-o-ishq ka jhagda nahin raha
tamiz-e-qurb-o-buad mitati chali gai

main tishna-kaam-e-shauq tha pita chala gaya
wo mast ankhdiyon se pilati chali gai

ek husn-e-be-jihat ki faza-e-basit mein
udti gai mujhe bhi udati chali gai

phir main hun aur ishq ki betabiyan 'jigar'
achchha hua wo nind ki mati chali gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close