zindagi ke giton ke bol sunna

samaat-e-munjamid ke malik
samaaton par jumud ho to

dinon ko hafton mein dhaalne ka nahin koi mashghala
ba-juz ye ki wadiyon mein sada ki duri pe bajne wale

suhane sapnon ke dhol sunna
rafu-gar-e-daman-e-tamanna

har ek dhadkan pe dil mein ek tis si na utthe
har ek harakat pe aablon mein mari hui sans ji na utthe

kisi ki aawaz-e-pa se dam todti hui zindagi na utthe
koi pukare koi na utthe

to jhil-ankhon kanwal se chehron ko bhulne ka
koi tariqa nahin

ba-juz ye ki sahilon par purane sipon ke khol chunna
rafu-gar-e-daman-e-tamanna

agar kabhi aablon ki sansen bahaal hon to
lahu se ruton ke jal bunna

samaat-e-munjamid ke malik
samaaton se jo barf sar ke

nadi ke giton ke bol sunna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close