zindagi se Darte ho

zindagi se darte ho!
zindagi to tum bhi ho zindagi to hum bhi hain!

zindagi se darte ho?
aadmi se darte ho?

aadmi to tum bhi ho aadmi to hum bhi hain
aadmi zaban bhi hai aadmi bayan bhi hai

us se tum nahin darte!
harf aur mani ke rishta-ha-e-ahan se aadmi hai wabasta

aadmi ke daman se zindagi hai wabasta
us se tum nahin darte

an-kahi se darte ho
jo abhi nahin aai us ghadi se darte ho

us ghadi ki aamad ki aagahi se darte ho
pahle bhi to guzre hain

daur na-rasai ke be-riya khudai ke
phir bhi ye samajhte ho hech aarzu-mandi

ye shab-e-zaban-bandi hai rah-e-khuda-wandi
tum magar ye kya jaano

lab agar nahin hilte hath jag uthte hain
hath jag uthte hain rah ka nishan ban kar

nur ki zaban ban kar
hath bol uthte hain subh ki azan ban kar

raushni se darte ho
raushni to tum bhi ho raushni to hum bhi hain

raushni se darte ho
shahr ki fasilon par

dew ka jo saya tha pak ho gaya aakhir
raat ka libaada bhi

chaak ho gaya aakhir khak ho gaya aakhir
izhdiham-e-insan se fard ki nawa aai

zat ki sada aai
rah-e-shauq mein jaise rah-rau ka khun lapke

ek naya junun lapke
aadmi chhalak utthe

aadmi hanse dekho shahr phir base dekho
tum abhi se darte ho?

han abhi to tum bhi ho
han abhi to hum bhi hain

tum abhi se darte ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close