ab talak tund hawaon ka asar baqi hai ek charagh aur sar-e-rahguzar baqi hai wo hamari nahin sunta to gila hai kaisa ab kahan apni duaon mein asar baqi hai dil mein baqi hain faqat chand lahu ke qatre ab mere pas yahi zad-e-safar baqi hai phir bana lenge usi ja pe nasheman apna aashiyan jis pe tha wo shakh-e-shajar baqi hai masiyat ashk nadamat se bhi dhul jati hai mutmain hun ki abhi dida-e-tar baqi hai jab wo chahe mujhe do-nim kare aa ke 'habab' dast-e-qatil mein yahi ek hunar baqi hai