agarche aaj bhi zinda hain lekin kal mein rahna hai musalsal irtiqa ke dasta-e-awwal mein rahna hai abhi hum sans lene ke bahane sans rokenge kashakash aur kashish ke aahani chungal mein rahna hai ye dil hai ki gul-e-nazuk ajab hai is ka mustaqbil use angar ban ke dard ki minqal mein rahna hai hui thi barf-bari to wahan koh-e-giran hum the isi bais to ab sulge hue jangal mein rahna hai hawa mein khwahish-e-pardaz ne bhi par nikale hain zamin-e-rizq hai mujh ko isi daldal mein rahna hai shikayat ka mahal kya hai maqam-e-rahm hai ye to mere qatil ko aainda isi maqtal mein rahna hai tumhaari yaad ka sawan barasta hai barasne do ki dubun ya tirun mujh ko isi jal-thal mein rahna hai ibarat mein maqam-o-martaba to ba'd ki shai hai abhi qirtas par mauhum se jadwal mein rahna hai hamesha 'sadiya' ko mausamon ka sath dena hai kabhi khaddar pahanna hai kabhi makhmal mein rahna hai