bad-qismati ko ye bhi gawara na ho saka hum jis pe mar mite wo hamara na ho saka rah to gai fareb-e-masiha ki aabru har chand gham ke maron ka chaara na ho saka khush hun ki baat shorish-e-tufan ki rah gai achchha hua nasib kinara na ho saka be-chaargi pe chaaragari ki hain tohmaten achchha kisi se ishq ka mara na ho saka kuchh ishq aisi bakhsh gaya be-niyaziyan dil ko kisi ka lutf gawara na ho saka fart-e-khushi mein aankh se aansu nikal pade jab un ka iltifat gawara na ho saka ulti to thi naqab kisi ne magar 'shakeb' dawon ke bawajud nazara na ho saka