bahut dushwar rasta ho gaya hai safar ab jasta jasta ho gaya hai ana jhukne nahin deti thi jis ko wahi ab dast-basta ho gaya hai tumhaara chahne wala hun main bhi mera dil bhi shikasta ho gaya kahan le aai hai baunon ki sohbat hamara qad bhi pasta ho gaya hai kabhi wo sahib-e-uslub hoga jo ab lahje se khasta ho gaya hai janab-e-‘shan’ ka ab jhonpada bhi shikasta dar shikasta ho gaya hai