baz bhi aao yaad aane se kya milega hamein satane se khun-e-dil se diye jalae hain ho ke guzro gharib-khane se kaisi be-raunaqi hai mahfil mein ek is ke yahan na aane se dar-e-dil wa kiya to wo aae kaun aata hai yun bulane se tujh se bichhde to kab ye socha tha is qadar honge be-thikane se hum to hairan hain ki kyun hum par zulm hai aur har bahane se rahne wala hi jab na ho 'azar' faeda kya hai ghar sajaane se