bujhe bujhe se sharare mujhe qubul nahin sawad-e-shab mein sitare mujhe qubul nahin ye koh-o-dasht bhi aaina-e-bahaar bane faqat chaman ke nazare mujhe qubul nahin tumhaare zauq-karam par bahut hun sharminda murad ye hai sahaare mujhe qubul nahin misal-e-mauj samundar ki samt laut chalo sukun-ba-dosh kinare mujhe qubul nahin main apne khun se jalaunga rahguzar ke charagh ye kahkashan ye sitare mujhe qubul nahin 'shakeb' jis ko shikayat hai khul ke baat kare dhake-chhupe se ishaare mujhe qubul nahin