dil jo hansta hai to rone ka guman hota hai khud ko pa kar use khone ka guman hota hai din ko jab ghar se nikalta hun to aksar mujh ko sae ke bojh ko dhone ka guman hota hai jab bhi aati hai mere sahn mein khushbu-e-gul tere ghar ke kisi kone ka guman hota hai odh leta hun shararon ki ridaen jab mein reg-e-sahra pe bichhaune ka guman hota hai narm hote hi badal jati hai surat meri yak-ba-yak chaak pe hone ka guman hota hai ek hi ashk muqaddar se mila hai phir bhi har kisi dagh ko dhone ka guman hota hai hech thi meri nigahon mein haqiqat lekin ab to mitti pe bhi sone ka guman hota hai tutne aur bikharne mein laga hun jab se mujh ko apne pe khilaune ka guman hota hai par karta hun samundar pe samundar 'rahat' phir bhi khud ko hi dubone ka guman hota hai