dil ki basti mein barasta hai wo baadal kaun hai kar raha hai jo meri aankhon ko jal-thal kaun hai chand suraj kahkashan ki puchhta hai khairiyat sab ke ghar mein jhankne wala ye pagal kaun hai kaun hai wo jis ki khushbu se mahakti hai hayat gholne wala meri sanson mein sandal kaun hai dhup barish aandhiyon mein saeban hota hai kaun phul ko deta hai jo mamta ka aanchal kaun hai raat ke bistar bhigo jata hai shabnam ki tarah dhone wala nind ki aankhon se kajal kaun hai shabnami hai guftugu us ki to lahja hai gulab pankhudi sa narm itna aur komal kaun hai dil ke virane mein chupke se chala aata hai kaun gham ki basti mein machata hai jo halchal kaun hai rah gai hai kuchh kami to kya shikayat hai 'fahim' is jahan mein sab adhure hain mukammal kaun hai