din dahakti dhup ne mujh ko jalaya der tak raat tanhai mein kala abr barsa der tak tu ye kahta hai ki tu kal raat mere sath tha main ye kahta hun ki main ne tujh ko dhunda der tak pas rakh kar ujle ujle dudh se yaadon ke jism der se baitha hun mein baitha rahunga der tak pahle teri chahaton ke gham the ab furqat ke dukh mujh pe ab tari rahega ye bhi arsa der tak kaun thahre aane wale mausamon ke samne kaun khali rakh sake taq-e-tamasha der tak ab wo baaten ab wo qisse kis tarah 'jafar' bhulaen aise sadmon ka asar dil par rahega der tak