duniya-dari se na-waqif kaisa pagal ladka tha jab rone ka mauqa hota tab bhi hansta rahta tha hum se kaisi bhul hui thi hum ne kya kya socha tha bilkul mom sa pighla wo to jo kundan sa lagta tha shak ke sae phail rahe hain basti wale hairan hain us ne dariya par kiya hai to kya matka pakka tha zehn mein dhundla dhundla sa ek naqsh ubharta jata hai hum tum ko pahchan rahe hain hum ne tum ko dekha tha pahle kuchh socha hi nahin tha lekin ab is soch mein hain mil kar bhi kya paya tum se milte nahin to achchha tha wo jo ek ummid thi tum se khair use ab chhodo tum tum par kya ilzam dharen hum yun bhi ye to hona tha