har marg-e-arzu ka nishan der tak raha jab shama gul hui to dhuan der tak raha wo waqt-ha-e-su-e-haram jab chale the hum daman-kash khayal-e-butan der tak raha kaliyan udas phul fasurda saba khamosh ab ke chaman pe rang-e-khizan der tak raha muddat guzar chuki pa khusha lazzat-e-visal har mah-wash pe us ka guman der tak raha dar-o-rasan ka zikr chhida jab bhi dosto aankhon mein ek sarw-e-rawan der tak raha diwane ko to apna bhi rahta nahin hai hosh ek nam phir bhi wird-e-zaban der tak raha