jaan aise khwabon se kis tarah chhudaun main shahr so gaya sara ab kise jagaun main paemal sabze par dekh kar gire patte ab zamin se khud ko kis tarah uthaun main in akeli raaton mein in akele raston par kis ke sath aaun main kis ke sath jaun main ek hi si tanhai ek hi sa sannata dasht kya hai dil kya hai kya tujhe bataun main dekh kaise din aae dekh main na kahta tha tu qarib bhi aae aur tujhe bulaun main aaj sab mein ghul-mil jaun mujh ko kya khabar kal tak kis ko yaad aaun main kis ko bhul jaun main kitne kaam duniya ne de diye mujhe 'jafar' ashk-e-gham giraun main bar-e-gham uthaun main