jahan-e-arzu aawaz hi aawaz hota hai badi mushkil se ehsas-e-shikast-e-saz hota hai hamein kya aap anjam-e-mohabbat se daraate hain hamare khun se har daur ka aaghaz hota hai qafas hai dam hai bhadki hui hai aatish-e-gul bhi isi mahaul mein andaza-e-parwaz hota hai pighal jati hain zanjiren sulag uthti hain diwaren lab-e-khamosh mein wo shola-e-awaz hota hai mohabbat ki haqiqat khul gai chaak-e-gireban se junun bhi ek manzil mein zamana-saz hota hai hamin par munhasir hai raunaq-e-bazm-e-jahan 'qabil' koi naghma ho apna hi rahin-e-saz hota hai