kabhi hum un ki sunte hain kabhi apni sunate hain isi daur-e-mohabbat mein ye din yun bit jate hain kaha tha jo kabhi tum ne chalo dekhen nazare hum usi qatil-ada se ab hamin ko kyun satate hain zamana puchhega tumhaare khasta-haal ka beora hamari baat to chhodo hamein yun hi bulate hain pata puchhe hamara jo kaho ab kya bataen hum raqibon ka pata bhi to nahin ab hum batate hain bhale 'khuddar' kahta ho khata-wari nahin ki hai use bolo faqiron mein use murshid batate hain