kharidne ka nae phul kuchh irada nain kise milen ki hamara kisi se wada nain mohabbaton mein bahut khak chhan li hum ne karen ab aisi kisi mashq ka iada nain bas ek sham guzaren hamare sath kabhi qarib aane ki khwahish hai par ziyaada nain fareb khaya hai teri jhuki nigahon se dikhai deta hai jitna tu utna sada nain tere liye to mawaqe bahut ziyaada hain tu masalon mein ghira koi shahzada nain safed-posh hun thoda bharam to rakhna hai jigar to chaak hai 'faisal' magar labaada nain