kisi ki nek ho ya bad jahan mein khu nahin chhupti chhupae lakh khushbu ya koi badbu nahin chhupti zaban par jab talak aati nahin albatta chhupti hai zaban par jab ki aai baat ai gul-ru nahin chhupti yahan to tujh ko sau parde lage hain ahl-e-taqwa se bhala rindon se kyun ai dukhtar-e-raz tu nahin chhupti saliqa kya kare is mein koi betabi-e-jaan ko chhupao sau tarah jab dil ho be-qabu nahin chhupti hijab us mein kahan hai be-hijabi jis ki aadat ho chhupa kar lakh piwe gar koi daru nahin chhupti rukh-e-raushan ko tum kyun chhod kar zulfen chhupate ho chamak rukh ki chhupae se tah-e-gesu nahin chhupti ye rish o jubba o dastar zahid ki banawat hai tabiat be-takalluf jis ki ho yaksu nahin chhupti kalam apna abas tu ahl-e-danish se chhupata hai jahan mein 'aish' tarz-e-shair-e-khush-go nahin chhupti