kyun band sab khule hain kyun chir atpata hai kya qatl kun hamare ab thath yun thatha hai is waqt mein pyare hum kun sharab dije dekho to kya hua hai rijho to kya ghata hai birhan ke nain ro ro jogi baran hue hain kajar bhabhut anjhu mala palak jata hai khwah lathiyon sin maro khwah khak mein lathado aashiq ka dil piyare chaugan ka bata hai lab kun ankhiyon kun mukh kun bar kun kamar kun qad kun in sab ko chahta hai tukde ho dil bata hai saman-e-aish hum kun asbab-e-gham hue hain khun-e-jigar hai sahba bakht-e-siyah ghata hai kya rang hai tumhaare rukhsar ka sirijan jis par nazar kare sin gul ka jigar phata hai aashiq ki 'abru' hai khwari mein jaan dena namard wo kahawe jo ishq sin hata hai