lakh takraate phiren hum sar dar-o-diwar se ji ki bharta hi nahin hai lazzat-e-azar se kuchh to ghar walon ne hum ko kar diya mazur sa aur kuchh hum fitratan ukta gae ghar-bar se yak-ba-yak aisi bhi sab par kya qayamat aa gai shahr ke sab log kyun lagne lage bimar se tere sapnon ki wo duniya kya hui us ko bhi dekh ho chuki hain nam bahut aankhen utha akhbar se muntazir tha dubne wale ka koi to zarur ek sada aai thi us ke nam dariya par se sab se achchha to yahi ghaalib tera jam-e-sifal tut bhi jae to phir le aaiye bazar se