main khush hua ki bud mein rakkha gaya mujhe haalanki bas quyud mein rakkha gaya mujhe khadshat ki salib pe khinchi gai hayat haalat ke jumud mein rakkha gaya mujhe jis samt bhi gaya main ajal mere sath thi yani meri hudud mein rakkha gaya mujhe barfab khwab jab meri aankhon mein aa base ek hashr ki numud mein rakkha gaya mujhe duniya ko dekhta hun yun hairat se roz-o-shab jaise abhi wajud mein rakkha gaya mujhe be-saz gungunaya gaya mujh ko har ghadi be-tal hi surud mein rakkha gaya mujhe to kya baqa freb-zada harf hai faqih to kya faqat nabud mein rakkha gaya mujhe