mere ham-rah mere ghar pe bhi aafat aai aasman tut pada barq giri chhat aai sharm aai bhi jo us shokh ki aankhon mein kabhi shokhiyan karti hui sath shararat aai hijr mein jaan hai dubhar ye likha tha un ko khat mein likkhi hui marne ki ijazat aai sochta jata hun raste mein ki ye dunga jawab guftugu un se agar ghair ki babat aai phir har ek sher mein kuchh dard ka pata hun asar phir kahin hazrat-e-'bekhud' ki tabiat aai