na koi aks na aawaz na chehra hoga dur tak ek jhulasta hua sahra hoga kuchh to aata hai nazar din mein dhundalka hi sahi sham dhalte hi dhuan aur bhi gahra hoga muntazir kis liye ab tak hain charaghon ki lawen wo musafir tha kahin aur basera hoga ye ujadte hue jangal ye ghubar aur ye pyas log kahte hain kisi din yahan sahra hoga man bhi jao ki sar par hai kadi dhup abhi dubti sham ka har rang sunahra hoga