tera hi main gada hun mera tu shah bas hai mujh shab ki raushni kun tujh rukh ka mah bas hai surma se gard-e-mizhgan saf bandh ke bithi hain shah-e-nayan kun teri yu qibla-gah bas hai dil ki shikastagi sun paya hun baadshahi karne kun sarwari ke aisi kulah bas hai mahshar ke khur ki tap sin kuchh dar nahin haman kun zulf-e-siyah ka saya dil ki panah bas hai do ja nahin hai jag mein maujud juz khuda ke is baat ki shahadat ek la-ilah bas hai 'yakru' hua hai pani sun 'abru' ka misra rakhne ko yusufan ke ek dil ki chah bas hai