tum ho qatra to qadam had se na bahar rakhna dil magar sat samundar ke barabar rakhna zeb deti to hai dastar magar sarw-qado sar zara turra-e-dastar se bahar rakhna justuju apni zarurat hai talab apni gharaz kaam apna hai to kyon bar kisi par rakhna zahr-e-ehsas ki talkhi liye ghar mat jaana din to kajlaya magar raat munawwar rakhna chaarpai ke barabar bhi farakhi na mili panw phailana kahan aur kahan sar rakhna mauj-e-khun shoala-numa shahr chatakhti lashen hae kis tarah se aankhon mein ye manzar rakhna sehn-e-jaan taza hawa se na ho mahrum 'ayaz' ek diwar uthana to kai dar rakhna