wo zamana nazar nahin aata kuchh thikana nazar nahin aata jaan jati dikhai deti hai un ka aana nazar nahin aata ishq dar-parda phunkta hai aag ye jalana nazar nahin aata ek zamana meri nazar mein raha ek zamana nazar nahin aata dil ne is bazm mein bitha to diya uth ke jaana nazar nahin aata rahiye mushtaq-e-jalwa-e-didar hum ne mana nazar nahin aata le chalo mujh ko rah-rawan-e-adam yan thikana nazar nahin aata dil pe baitha kahan se tir-e-nigah ye nishana nazar nahin aata tum milaoge khak mein hum ko dil milana nazar nahin aata aap hi dekhte hain hum ko to dil ka aana nazar nahin aata dil-e-pur-arzu luta ai 'dagh' wo khazana nazar nahin aata