ek patthar ki adhuri murat chand tanbe ke purane sikke kali chandi ke ajab se zewar aur kai kanse ke tute bartan ek sahra mile zer-e-zamin log kahte hain ki sadiyon pahle aaj sahra hai jahan wahin ek shahr hua karta tha aur mujh ko ye khayal aata hai kisi taqrib kisi mahfil mein samna tujh se mera aaj bhi ho jata hai ek lamhe ko bas ek pal ke liye jism ki aanch uchatti si nazar surkh bindiya ki damak sarsarahat teri malbus ki baalon ki mahak be-khayali mein kabhi lams ka nanha sa phul aur phir dur tak wahi sahra wahi sahra ki jahan kabhi ek shahr hua karta tha