barso ram dhadake se budhiya mar gai faqe se kal-jug mein bhi marti hai sat-jug mein bhi marti thi ye budhiya is duniya mein sada hi faqe karti thi jina us ko ras na tha paisa us ke pas na tha us ke ghar ko dekh ke laxmi mud jati thi nake se barso ram dhadake se jhute tukde kha ke budhiya tapta pani piti thi marti hai to mar jaane do pahle bhi kab jiti thi jai ho paise walon ki gehun ke dallalon ki un ka had se badha munafea kuchh hi kam hai dake se barso ram dhadake se