chalte chalte dafatan patri badalne ka chalan tha siyasat ke qalabazon ka yak mashhur fan faeda hota tha waqti taur par is khel mein go saka hazraat kahte the use bazar-pan ahl-e-sheristan ne bhi ab use apna liya kar-amad dekh kar ye nuskha-e-ahan-shikan ho raha hai is qadar maqbul ye nuskha ki ab dil badalte rahte hain din raat arbab-e-sukhan nit naya bahrup lazim hai pae izhaar-e-zat jab nazar ke samne ho fan barae makr-o-fan wo zamana jab ki bazm-e-sher thi ek razm-gah chhod di thi har nae shair ne raftar-e-kuhan gholte rahte the wo hazraat jam-e-sher mein naghma-e-bulbul ke badle shorish-e-dar-o-rasan hotalon mein baith kar hota tha zikr-e-inqalab apne sar se bandhe phirte the takhayyul mein kafan in mein kuchh leader sifat the aur kuchh wolunteer jhund mein surkhab ke hon jis tarah zagh-o-zaghan nara bazi mein agar hote the leader paw ser in ke har wolunteer ka wazn hota dedh man rafta rafta shor-e-ghaughai sukhan ka jab thama lag gaya jab mah-e-nakhshab mein hawadis ka gahan aa gae kuchh aur kartab-baz bazm-e-sher mein ek zara sa jaante the jo nazar-bandi ka fan sungh kar mausam ki bu aur rukh hawa ka dekh kar kechuli badli har ek wolunteer ne dafatan subah dam dekha to teddy suit mein malbus hain phenk kar chupke se apna inqilabi pairahan sar ke baalon ki safedi ho gai gharq-e-khizab tah-ba-tah ghaza laga kar dur ki rukh ki shikan shairi ki umr thi go bis ya pachchis sal lekin apne fan mein wo bil-qasd lae baal-pan kar diya bahr-e-sadarat pesh apne aap ko jab banai chand nau-mashqon ne koi anjuman is liye ghuspaith karte ye sab wolunteer ban gae ab kham zehnon ke imam-e-fikr-o-fan in ka maqsad hai agar kuchh to husul-e-manfat inqilabi shairi ho ya muammati sukhan