kaisa sakht tufan tha kitni tez barish thi aur main aise mausam mein jaane kyun bhatakti thi wo sadak ke us jaanib raushni ke khambe se! sar lagae istada aane wale gahak ke intizar mein gum thi! khal-o-khad ki aaraish bah rahi thi barish mein tir nok-e-mizhgan ke mil gae the mitti mein gesuon ki khush-rangi ud rahi thi jhonkon mein main ne dil mein ye socha aab o baad ka rela! us ko rakh kar dega ye saja bana chehra! kya darawna hoga phir bhi us ko le jaana aane wale gahak ka apna hausla hoga barishon ne jab us ka rang-o-rup dho dala main ne darte darte phir us ko ghaur se dekha sidha-sada chehra tha bhola-bhaala naqsha tha rang-e-kam-sini jis par kaise dhul ke aaya tha zard phul sa patta gesuon mein uljha tha shabnami sa ek qatra aankh par larazta tha rakh ki jagah us ja ek diya sa julta tha mujh ko yun laga aise! jaise meri beti ho meri naz ki pali meri kokh-jai ho dal se bandha jhula taq mein saji gudiyan ghar mein chhod aai ho tez tez chalne par main ne us ko toka ho hath tham lene par! mera us ka jhagda ho kho gai ho mele mein bah gai ho rele mein aur phir andhere mein apne ghar ka darwaza khud na dekh pai ho! dafatan ye dil chaha us ko god mein bhar lun le ke bhag jaun main hath jod lun us ke chum lun ye peshani! aur use manaun main phir se apne aanchal ka ghonsla banaun main aur use chhupaun main