gharon mein koi ped hai na motiye ki bail hai na dal ko baghaarti hui jawan ladkiyan ki sab chalan badal gaya faraghaton ke din gae gain wo kunj-e-waqt ki safed rish saaten shajar ki rahdariyan ujad gain ghani dopahar mein khuli khuli si dhup ka safar bhi ruk gaya gali ke surkh mod par kanar-e-sham nuqrai libas mein jamalti hui sharir apsara nahin rahi wo rish mein gundhe hue badan ka kham zamin par utarte hue zaif lathiyon pe dolte khamida sar nahin rahe wo tyron se khelta ghubar udata bachpana wo sanwle hijab mein safed muskurahaten haya ki sabz katranen ki jin pe surkh motiyon ka nilgun lihaf tha na-jaane kaun samt hain jale bujhe se dip hain nazar ki rahguzar mein zara zara si raushni ki jis mein kham ujlaten badan ke dagh sinchtin jhuke jhuke mizaj par tani tani si uljhanen dalil se wara hai sari guftugu ka saneha zara zara si zindagi bada bada sa khauf hai labon ke surkh baam par malal-e-raftagan nahin firasaton ka qaht hai malamaton ka ahd hai hamein fareb-e-zindagi zara sa kaam kya pada hamare din guzar gae