husn to bas do tarah ka khub lagta hai mujhe aag mein jalta hua ya barf mein soya hua darmiyan mein kuchh nahin sirf halka sa achambha aks sa udta hua ek khayal-angez qissa apni aadhi maut ka ek alam-afza fasana khun-e-dil ke shauq ka ek kinare se sada do to wo chalti jaegi dur tak apne gunah par hath malti jaegi