wo ab ke aae to sach un ke sath tha lekin ajib tarah ka be-dard sach tha kahte the tumhaara jhut hai nanga yahi to ek sach hai hum un se kah na sake hamare izn pe jo qasr-o-baam ugata tha wo jin hamein mein tha wo mar chuka hai hum lekin jien to kaise jien aur maren to kaise maren ki tan barahna pade hain na jaane kaun sa hai dasht samt hai na ufuq bas ek manzar-e-be-rang-o-saut hai us ko khala kahen ki adam wo hum se sadiyon purana charagh chhin gae nae charagh purane charagh ke badle wo kash ab ke bhi aisa fareb de jate