qadam mila ke chalo hausla badha ke chalo dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo watan ki jaan ho tum aur watan tumhaara hai ki baghban ho tum ye chaman tumhaara hai badhao hath ki har ilm-o-fan tumhaara hai qadam mila ke chalo hausla badha ke chalo dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo tumhaare qadmon se raushan ho shahrah-e-hayat tumhaare azm se insan pae gham se najat misal-e-khizr-o-masiha bane tumhaari zat qadam mila ke chalo hausla badha ke chalo dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo jalao dil ke nagar mein charagh-e-ilm-o-yaqin dayar-e-hirs-o-hawas mein na jhukne pae jabin tumhaare qadmon se ban jae aasman ye zamin qadam mila ke chalo hausla badha ke chalo dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo kabir-o-nanak ho chishti ki yaadgar ho tum jahan mein gandhi-o-nehru ke wirsa-dar ho tum zamin pe amn-o-mohabbat ke pasdar ho tum qadam mila ke chalo hausla badha ke chalo dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo nizam-o-kaki-o-chishti ki ruh apnao khuda ka jalwa har insan ke qalb mein pao har ek dil mein mohabbat ki raushni lao qadam mila ke chalo hausla badha ke chalo dilon mein hubb-e-watan ka diya jala ke chalo