aandhi mein charagh jal rahe hain

aandhi mein charagh jal rahe hain
kya log hawa mein pal rahe hain

ai jalti ruto gawah rahna
hum nange panw chal rahe hain

kohsaron pe barf jab se pighli
dariya tewar badal rahe hain

mitti mein abhi nami bahut hai
paimane hunuz dhal rahe hain

kah de koi ja ke taeron se
chyunti ke bhi par nikal rahe hain

kuchh ab ke hai dhup mein bhi tezi
kuchh hum bhi sharar ugal rahe hain

pani pe zara sambhal ke chalna
hasti ke qadam phisal rahe hain

kah de ye koi musafiron se
sham aai hai sae dhal rahe hain

gardish mein nahin zamin hi 'akhtar'
hum bhi dabe panw chal rahe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close