apna saya bhi na ham-rah safar mein rakhna pukhta sadken hi faqat rahguzar mein rakhna ghair-mahfuz samajh kar na ghanim aa jae dosto! main na sahi khud ko nazar mein rakhna kahin aisa na ho main hadd-e-khabar se guzrun koi aalam ho mujhe apni khabar mein rakhna aaina tut ke bikhre to kai aks mile ab hathauda hi kaf-e-aina-gar mein rakhna mashghale kibr-sini mein wahi bachpan wale kabhi taswiren kabhi aaine ghar mein rakhna bahte dariyaon ko sahil hi se takte rahna aur jalte hue ghar dida-e-tar mein rakhna koi to aisa ho jo tum ko bachae tum se koi to apna bahi-khwah safar mein rakhna koi bhi chiz na rakhna ki taaqub mein hain log apni mitti hi magar dast-e-hunar mein rakhna jangalon mein bhi hawa se wahi rishta 'akhtar' shahr mein bhi yahi sauda mujhe sar mein rakhna