anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka

anjam ye hua hai dil-e-be-qarar ka
thamta nahin hai panw hamare ghubar ka

pahle kiya khayal na gul ka na khar ka
ab dukh raha hai panw nasim-e-bahaar ka

paiham diye wo ranj ki insan bana diya
minnat-pazir hun sitam-e-rozgar ka

us ko khizan ke aane ka kya ranj kya qalaq
rote kata ho jis ko zamana bahaar ka

makhfi hai is mein raaz-e-baqa-e-hayat-e-ishq
kya puchhte ho haal dil-e-be-qarar ka

majburiyan sitam hain wagarna khuda ki shan
main aur yun guzar dun mausam bahaar ka

ghafil nigah-e-hosh se rang-e-chaman ko dekh
parwurda-e-khizan hai zamana bahaar ka

nikla hai dam 'rawan' ka tamanna ke sath sath
allah-re zor nala-e-be-ikhteyar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close