arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun

arz-e-ahwal-e-dil-e-zar karun ya na karun
ishq se apne khabar-dar karun ya na karun
gosh-e-dil se kabhi wo haal sune ya na sune
wa main apne lab-e-guftar karun ya na karun
bosa ek us se jo manga to laga kahne nahin
hai shash-o-panj ki takrar karun ya na karun
kahiye ai hazrat-e-dil kya hai salah-e-daulat
yar se shikwa-e-didar karun ya na karun
phul aage na mere tod zara ai gulchin
kah tu sair-e-gul-o-gulzar karun ya na karun
Please share if you liked this!!!