asir-e-ishq-e-maraz hain to kya dawa karte jo intiha ko pahunchte to ibtida karte agar zamane mein apne kabhi wafa karte dahan-e-zakhm tadapne pe kyun hansa karte mariz lazzat-e-fariyaad kah nahin sakte jo nale kaam na aate to chup raha karte hum un se mil ke bhi furqat ka haal kah na sake maza visal ka khote agar gila karte mazaq-e-dard se na-waqifi nahin achchhi kabhi kabhi to meri dastan suna karte shab-e-firaq gawara na thi magar dekhi ab aur khatir-e-mehman ziyaada kya karte dar-e-qafas na khula qadr-e-sabr kar sayyaad tadapte hum to pahadon mein rasta karte ise jala ke use aag di bura na kiya jigar jo rakhte the aakhir wo dil ko kya karte zaban walon se sun sun ke hai yaqin 'saqib' ki bolte to sanam bhi khuda khuda karte