aur kar lenge wo kya ab hamein ruswa kar ke ab jo aae hain to jaenge tamasha kar ke apni takhliq ke ikmal se sauda kar ke kaun is parde mein baitha hai tamasha kar ke ek zamana hai pareshan muamma kya hai tum to ghaeb hue kuchh kaam adhura kar ke tere jalwe ki hawas hum ko har ek rang mein hai su-e-but-khana chale jate hain sajda kar ke taki sajdon ki tadap mein na kami aa pae aur sajdon ke liye nikle hain sajda kar ke itni rangin jo duniya hai teri hi to hai kis tarah kufr karen hum yahan tauba kar ke jis ne lutte hue dekha hai tamaddun apna us se kahte ho rahe tum pe bharosa kar ke hum se kya puchho ho ahwal-e-haram ai logo aaj ke dard ka jao to mudawa kar ke 'mani' mai-khane ko masjid se chale kahte hue thodi tabdili ko ho aate hain sajda kar ke