chaaron taraf KHala mein hai gahra ghubar sa

chaaron taraf khala mein hai gahra ghubar sa
phir bhi kahin pe hai yunhi kuchh aashkar sa

kya phutta hai dil ki zamin se ba-rang-e-gham
kya tairta hai aankh mein naqsh-e-bahaar sa

bikhre hain mere gird nishan-e-qadam mere
khincha hai main ne apne liye bhi hisar sa

fursat jo ho to khul ke baras meri khak par
ban jaun main bhi ek shajar saya-dar sa

tanha darakht main bhi hun us ke kanar mein
wo bhi mere qarib hai ek juebar sa

'ishrat' udas taq pe ye zard-ru charagh
tanhaiyon mein meri hai ek gham-gusar sa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close