dil-e-pur-khun jo jam hai mera khun sharb-e-mudam hai mera rind-o-awara nam hai mera sab mein ye ehtiram hai mera aariz o zulf-e-yar ka dhyan munis-e-subh-o-sham hai mera umr guzri ki misl-e-naqsh-e-qadam us ki rah mein qayam hai mera aah ek din bhi dekh kar na kaha ye bhi kui naqsh-e-gam hai mera qasid us harf-e-na-shunu tak jald yahi jagah payam hai mera abhi aana hai to shitabi aa kaam warna tamam hai mera hai usi but ke taq-e-abru ko jo sujud o salam hai mera gah be-khud hun gah ba-khud har dam kuch aur ye maqam hai mera ai 'jahandar' hun main said-e-asir har kham-e-zulf dam hai mera