dil pe wo waqt bhi kis darja giran hota hai

dil pe wo waqt bhi kis darja giran hota hai
zabt jab dakhil-e-fariyaad-o-fughan hota hai

kaise batlaen ki wo dard kahan hota hai
khun ban kar jo rag-o-pai mein rawan hota hai

ishq hi kab hai jo manus-e-zaban hota hai
dard hi kab hai jo mohtaj-e-bayan hota hai

jitni jitni sitam-e-yar se khata hai shikast
dil jawan aur jawan aur jawan hota hai

wah kya chiz hai ye shiddat-e-rabt-e-baham
bar-ha khud pe mujhe tera guman hota hai

kitni pamal umangon ka hai madfan mat puchh
wo tabassum jo haqiqat mein fughan hota hai

ishq sar-ta-ba-qadam aatish-e-sozan hai magar
us mein shola na sharara na dhuan hota hai

kya ye insaf hai ai khaliq-e-subh-e-gulshan
koi hansta hai koi girya-kunan hota hai

gham ki badhti hui yurish se na ghabra 'amir'
gham bhi ek manzil-e-rahat ka nishan hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close